Hawa k zour se pindaar-e-baam-o-dar bhi gaya
Chiragh ko jo bachate the, un ka ghar bhi gaya
Pukarte rahe mehfooz kishtiyun waale
Main Doobta hua darya k paar utar bhi gaya
Ab ehtiyaat ki diwaar kya uthate ho
Jo chor dil main chupa tha wo kaam kar bhi gaya
Main chup raha k is main thi aafiyat jaan ki
Koi to meri tarah tha jo daar par bhi gaya
Sulaghte sochte weraan mausamon ki tarah
Kara tha ehad-e-jawani magar guzar bhi gaya
Jise bhula na saka us ko yaad kya rakhta
Jo naam dil main raha zehan se utar bhi gaya
Phati phati huye ankhon se yun na dekh mujhe
Tujhe talash hai jis ki wo shakhs mar bhi gaya
Magar falak ki adawat ussi k ghar se na thi
Jahan "Faraz" na tha sayel-e-Gham udhar bhi gaya