Showing posts with label zindagi. Show all posts

tumhari zindagi mein main kahan par hoon

Friday, 8 March 2013 · Posted in , ,


tumhari zindagi mein

 main kahan par hoon?

 Hawa e subha mein

 ya sham k pehlay sitaray mein

 jhijakti boonda baandi mein

 keh bayhad taiz barish mein

 ro pehli chandni mein

 ya keh phir tapti dopeharon mein

 bohat gehray khayalon mein

 keh bayhad sarsari dhuun mein

 tumhari zindagi mein

mein kahan par hoon,

keh ik khaab e muhabbat tootnay,

aur doosra aaghaz honay kay,

kahin maabain ik baynaam lamhay ki faraghat?

 Tumhari zindagi mein

 main kahan par hoon?

Zindagi ke jitney darwazy hain mujh par band hain Dekhna

· Posted in , , ,

>



Zindagi ke jitney darwazy hain mujh par band hain
Dekhna
Hadd-e-nazar se aagy barh kar dekhna bhi jurm hy
Sochna
Apne aqeedo’N aur yaqeeno’N se nikal kar sochna bhi jurm hy
“Kyun” bhi kehna jurm hy
“kese” bhi kehna jurm hy
Sans lene ke to aazadi muyassar hy……..magar
Zianda rehny k liay insaan ko…….kuch “aur” bhi darkaar hy
Aur…….is kuch “aur” bhi ka tazkira bhi jurm hy
Aey hunar mandaan-e-aaeen-o-sayasat
Aey khuda vandaan-e-eewan-e-aqaid
Zindagi ke naam par, bas ik inayat chahiay
Mujh ko in sary jarayam ke ijazat chahiay


Ye jo zindagi hai ajeeb c

Wednesday, 11 April 2012 · Posted in ,

Ye jo zindagi hai ajeeb c,

Ye jo roz-o-shab hain udas sy,

Ye jo rabty hain dary dary,

Ye jo durian c hain darmEyan,

Mai agr tujy jo sanwaar dun,

Tery roz-o-shab ko nikhar dun,

Mera hath tham k ye ahed do,

Mujy aese hi dil mei rakho ge tum,

Mery sath sath raho gy tum,

Mery humsafr mery hum nasheen,

Tujy is qadr jo mai peyar dun,

K ye zindgi hi haar dun,To batao na mery bad b?

Yehi ehad apna nibhao ge,

YA MUJHKO TUM BHOOL JAO GY..

Popular Posts