Showing posts with label tumhari. Show all posts

tumhari zindagi mein main kahan par hoon

Friday, 8 March 2013 · Posted in , ,


tumhari zindagi mein

 main kahan par hoon?

 Hawa e subha mein

 ya sham k pehlay sitaray mein

 jhijakti boonda baandi mein

 keh bayhad taiz barish mein

 ro pehli chandni mein

 ya keh phir tapti dopeharon mein

 bohat gehray khayalon mein

 keh bayhad sarsari dhuun mein

 tumhari zindagi mein

mein kahan par hoon,

keh ik khaab e muhabbat tootnay,

aur doosra aaghaz honay kay,

kahin maabain ik baynaam lamhay ki faraghat?

 Tumhari zindagi mein

 main kahan par hoon?

Maine tumhari gagar se kabhi pani piya tha

Wednesday, 11 April 2012 · Posted in , , ,


Maine tumhari gagar se kabhi pani piya tha
Pyasa tha mein yaad karo
Sun lo zara gori, tum sharmakay thora sa balkhayeen thi
Woh din yaad karo

Yeh tere kaajal ka rang
Hua tha...haan meri aakhon ke sang
Yeh tere kaajal ka rang
Hua tha...haan meri aakhon ke sang
Gori tum woh din yaad karo
Gori tum woh din yaad karo

Mein kuch kehna saka
Shaanon se jub aanchal gira
Gori tum woh din yaad karo
Gori tum woh din yaad karo

Kya...tumhey yaad nahin
Tum bhi tho milay they waheen
Gori tum woh din yaad karo
Gori tum woh din yaad karo

Maine tumhari gagar se kabhi pani piya tha
Pyasa tha mein yaad karo
Sun lo zara gori, tum sharmakay thora sa balkhayeen thi
Woh din yaad karo






Popular Posts