Showing posts with label Aankhon. Show all posts

Jab Se Aankhon Main By Ahmed Naseem Qasmi

Tuesday, 24 April 2012 · Posted in , , ,





Ghazal



Jab se aankhon main khatakne lagi rait

Mere sehraon main was’sat na rahi



Ishq tehzeeb main zanjeer hua

Koi shiddat koi hiddat na rahi



Jane ab tak hai Khuda kyun tanha

Koi khalwat bhi to khalwat na rahi



Muskuraon bhi to kis barte per

Ab to rone ki bhi fursat na rahi



Ab to tewar hi balak uthte hain

Aah o faryaad ki hajat na rahi



Khud se begaana hua hon jab se

Mujh ko tujh se bhi muhabbat na rahi



Itna pamaal hua zauq “Nadeem”

Zakhm khane main bhi lazzat na rahi

Apni Aankhon k Dareechon mai Basalo Mujh ko

Sunday, 15 April 2012 · Posted in , ,




 



Apni Aankhon k Dareechon mai Basalo Mujh ko
Bikhar na jaoon kahiin, aa ker sambhalo Mujh ko



Ye Mera Pyar hai Roshan Chirag ki manind
Tum apne Chaand se Maathey per saja lo isko


Mai Tere Ishq mai ab Khaak na ho jaoon kahin
Mujhe sambhalo, Haathon mai utha lo Mujh ko


Tum Mere Sabar ka Imtihaan ab nahi lena
Tarap rara hoon Tum apna bana lo Mujh ko


Meri in Toot-ti Saanson ki Qasam hai Tum ko
Aakhir Dam per hoon, Seene se lagalo Mujh ko....

Popular Posts