Showing posts with label Tanha. Show all posts

yohi tanha tanha na khaak ura meri jaan meray kareeb aa

Friday, 8 March 2013 · Posted in , , ,

type='html'>

yohi tanha tanha na khaak ura meri jaan meray kareeb aa
main bhi khasta dil ho teri tarha meri maan meray kareeb a’a

mai samnadroo’n ki hawa nahi kay tujh ko dekhaye na day sakoo’n
koi bhola bisra khyaal ho na gumaa’n meray kareeb a’aa

na chupa kay zakhm-e-wafa hai kya, teri arzoo’n ki khata hai kya
teri chara ghar na ye zindagi na jaha’n meray kareeb a’aa

tujhay asay wasoo’n ki dosti nay bohat khrab-o-khajal kya
kisi jhoot ka ye naqaab rukh pay na taan meray kareeb a’aa

jo nikal sakay to nikal lay koi waqt apnay liye kabhi
meray pass beth kar ro to lay kisi aa’n meray kareeb a’aa

na maaklma ho na guftago faqat itna ho kay na mai na tu
milay sirf apnay jalay huway dil-o-jaan meray qareeb a’aa


This post was made using the Auto Blogging Software from WebMagnates.org This line will not appear when posts are made after activating the software to full version.

"Tanha Ghar Se Bahar Jana Thek Nahi"

Sunday, 15 April 2012 · Posted in ,





Tanha Ghar Se Bahar Jana Thek Nahi

Tum Masoom Ho Aur Zamana Thek Nahi



Saaf Dilon Ko Phir Se Mela Kar Dein Gi

Guzri Baaton Ko Duhrana Thek Nahi



Aisi Cheezen Door Se Achi Lagti Hain

Chaand Ko Apny Paas Bulana Thek Nahi



Aao Mery Haath Pe Apna Haath Rakho

Saael Ko Khali Haath Lutana Thek Nahi



Rafta Rafta Taabiren Beh Jaatein Hain

Nam Aankhon Mein Khuwb Sajana Thek Nahi



Chour Dost In Pathar Dil Insano Ko

Apny Dil Ka Haal Sunana Thek Nahi

Jab kabhi wo hoga apni zaat me Tanha

Wednesday, 11 April 2012 · Posted in ,

Jab kabhi wo hoga apni zaat me Tanha

“TO YAD AOUNGA”

Na chala Qadam se Qadam koi sath

“TO YAD AOUNGA”

Main uski aankhon ka ishara bhi samajh leta hon!

Na samajh saka koi dil ki bat

“TO YAD AOUNGA”

Din ka har ik pal guzrega jab us pe kathhin

Or Tanha kate gi rat

“TO YAAD AOUNGA”

Har baazi jan kar us se haar jata hon!

Jab de ga koi usse haar

“TO YAAD AOUNGA”

Hansne ko to dunia b hansti hai sath sath

Na roya koi dukh me saAth

“TO YAD AOUNGA

Popular Posts