Showing posts with label Khafa. Show all posts

wo yoon mila k bazahir khafa khafa sa laga

Monday, 11 March 2013 · Posted in ,


wo yoon mila k bazahir khafa khafa sa laga
wo dosroon sey magar mujh ko kuch juda sa laga

mizaaj us nay na pocha magar salam liya
ye be-rukhi ka saleeqa bhi kuch bhala sa laga

wo jis ki kum-sukhani ko ghoroor samjha gaya
meri nigah ko wo paikar-e haya sa laga

main apney karb ki rodaad us sey kiya kehta
khud us ka dill bhi mujhe kuch dukha dukha sa laga

ghubaar-e waqt nay kuch yoon badal deye chehrey
khud apna shehr bhi mujh ko naya naya sa laga

ghuti ghuti sey lagi raat unjuman ki fiza
charagh jo bhi jala kuch bujha bujha sa laga

jo hum pe guzri hay shaid sabhi pe guzri hay
fasana jo bhi suna kuch suna suna sa laga

main ghar sey chal k akela yahan tak aaya hon
jo hum-safar bhi mila, kuch thaka thaka sa laga

kuch is kholoos sey us nay kaha mujhe
khud apna naam bhi mujh ko bohat bara sa laga

This post was made using the Auto Blogging Software from WebMagnates.org This line will not appear when posts are made after activating the software to full version.

Khafa Hy Mujh se Mujhe Pareshan Krta Hy

Wednesday, 11 April 2012 · Posted in , ,

Khafa Hy Mujh se Mujhe Pareshan Krta Hy

Ajeeb Shakhs Hy Khud Se Bad-Guman Krta Hy

Na Meri Parwa Hy Na Mery Haal Ki Kuch Khabar

Salook Wo Krne Laga Hy Jaise Anjaan Krta Hy

Wo Mery Zikar Pe Uktana,Mujhse Katraa K Guzar Jana

Aisa Lagta Hy Jaise Wo Doori Ka Saman Karta Hy

Pehle To Mujhse Milna He Aham Tha Jis K Liye

Ab Milta B Hy To Jaise Ehsaan Karta Hy

Taaluq Torna Hy To Aa K Keh Dy Mujhse WASI

Wo Aisi Batein Ghairon Se Q Bayaan Krta Ha.

Popular Posts