Zamane bhar ki nigahon se jo Khuda sa lage
Wo ajnabi hai magar mujh ko aashna sa lage
Najane kab meri dunya main muskuraye ga
Wo shaks k khuabon main bhi khafa sa lage
Ajeeb cheez hai yaro ye manzilon ki hawis
K rahzan bhi musafir ko rehnuma sa lage
Dil tabah tera mashwara hai kya k mujhay
Wo phool rung sitara bhi bewafa sa lage
Huwi hai jis se mun’nawar hai aik ankh ki jheel
Wo chand aaj bhi “Mohsin” ko kam numa sa lage