Kabhi kabhi yaad main ubharte hain naqsh-e-maazi mite mite se
Wo aazmaish dil-o-nazar ki, wo qurbaten si, wo fasle se
Kabhi kabhi aarzu k sehra main, aa k rukte hain qafle se
Wo saari baten lagao ki si, wo saare unwaan wisaal k se
Nigha-o-Dil ko qarar kesa, Nishaat-o-gham main, kami kahan ki
Wo jab mile hain, to un se har baar, ki hia ulfat naye sire se
Bohat giran hai ye aish-e-tanha, kahin sabak tar, kahin gawara
Wo dard-e-pinhan k sari dunya, rafiq thi jis k waste se
Tumhe kaho, k rind-o-mustahib main, hai aj shab kon fark aisa?
Ye aa k bethe hain mekade main, wo uth k aaye hain makade se