Pages

Friday, 8 March 2013

Tark e muhabbat kar baithe hum zabt e muhabbat aur bhi hai


Tark e muhabbat kar baithe hum zabt e muhabbat aur bhi hai
Ek Qyaamat beet chuki hai, ek Qyaamat aur bhi hai

Hum ne usi ke dard se apne saaNs ka rishta jor liya
Wana shahr me zindaa rahne ki ek surat aur bhi hai

Doobta suraj dekh ke khush rahna kis ko raas aaya
Din ka dukh sah jaane walo, raat ki wahshat aur bhi hai

Sirf rutoN ke saath badalte rahne par mauQoof nahi
Us me bach_choN jaisi zid karne ki aadat aur bhi hai

Meri bheegti palkoN par jab us ne donoN haath rakhe
Phir yeh bhed khula in ashkoN ki kuchh Qeemat aur bhi hai

Us ko gaNvakar ‘Mohsin’us ke dard ka Qarz chukaana hai
Ek aziyyat maaNd paRi hai, ek aziyyat aur bhi hai....!!

No comments:

Post a Comment